Top 10 Android Mobile Tips And Tricks Jo Sabhi Ko Janane Chahiye

Android pas me hone ke bawajood bhi isake kai saare feature kai logon se achhuta rah jata hai matlab wo kabhi use try nahi kar pate hain.
android tips and tricks

Aaj un sabako ek hi saath maine ikattha kiya hai aur aapake saath share ksrne wala hoon. So aap bhi in saare tips and tricks ka use kare aur apane friend se kuchh behtar kare :)

TOP 10 ANDROID MOBILE TIPS AND TRICKS

Yaha par main aapako 10 tips and tricks bataunga jo aapake liye sach me kaafi helpful honge.
To fir chaliye start karte hain..

1.App Notification ko band kare (Disable App Notificatio)

Jab ham mobile me koi app khole hote hain ya fir koi anya kaam kar rahe hote hain Aur usi samay kisi app ka notification baar naar aana start ho jata hai to bahut tej gussa lagata hai.Kabhi labhi to aesa man karta hai ki us app ko hi unstall kar de :)
Par koi nahi jaane dijiye agar gusse me use unistall kar dete hain to fir se use download karna padega jisase hamari mehna jyadi ho jyaegi :)
Isaka ek hi tarika hai jo ko sabase best hai aur wo ye hai ki us App ke notification ko hi band kar diya jaye jisase ki usaka notification baar baar hame disturb na kar paye.
Agar ham App ke notification ko band kar dete hain to use ham app ko kholane par dekh sakate hain. So isase koi nuksan nahi hone wala hai.Notification ko off karne ke baad bhi use jab chahe use on kiya ja sakata hai.
To fir aayiye janane hain ko App notification ko kaise off karte hain..

*Jis App ka notification aap off karna chahate hain uspar kuchh seconds ke liye click kiye rahe jisase ki upar options aa jate hai wo option
1.UNSTALL
2.APP INFO 
hota hai.

*App INFO par us app ko touch kiye hue hi lekar jaye aur use chhod de.
*Ab aapake samane kuchh options aayenge jiname se ek option Notification ka bhi hoga.
*Ise cilck kare aur jo naya page open hoga usame se ise disable kar de.

Bas Ab App notification off ho jayega.
Jab bhi aapko lage ki us app ka notification aapake liye jaroori hai to yahi process ko fir se karke ise on kar sakate hain.

2.Use low Mobile Data

Mobile me kai saare apps hote hain. Iname se kai saare aese bhi hote hain jinaka use agar ham nahi kar rahe hain tab bhi internet on karne par apane aap background me hi chalate rahate hain aur mobile data ka use karte rahate hain. 
Agar inka data usage band kar de to hamara mobile data bach jata hai.
Yah bahut hi aasan hai..

*Setting me jaye.
*Data usage par click kare
Ab aapake samane saare apps ka list aa jyega jisake liye bhi aap mobile data off karna chahate ho usake samane wale option par click karke option me restrict ya 

off ko choose kar le. 
Isake baad jab bhi aap data ko on karenge wo app ek bhi MB use nahi kar payega.

3.Set Mobile Data Limit

Jab ham internet ka use karne lagate hain to kaafi saari interesting chijen milati hain jinaki or ham aakarshit hote jate hai aur is karan hame pata hi nahi chal pata hai ki kitana internet hamane use karliya hai. Kabhi kabhi to aesa bhi ho jata hai ki nett pack khatma ho jats hai jisake karan hamare.main account se balance katane lag jata hai. To aesi galati hamase na hone paye isake liye ham ek data limit set kar dete hain jisase ki jitana hame use karna hota hai utana SIM ko pata chal jata hai aur jaise hi utana data use hota hai internet connection off ho jata hai.
Isako enable karne ke liye...

*Setting me jaye.
*Data usage me jaye.
*Fir yaha par aap do line dekhenge jiname se ek RED hoga aur dusara ORANGE hoga.

1.Red line jitana data jab use ho jata hai to internet apane aap band ho jata hai.
2.ORANGE line jitana jab data use ho jata hai to hame isaki notificstion milane lagati hai.
To fir aap chahe jaise ise set kar sakate hain.

4.Ek Se Jyada Google Account Add kare(use multiple google accounts)

Hame apane mobile ko chalane ke liye ek google account ki jaroorat padati hai. Bina google account ke ham apane mobile ka use nahi kar sakate hain. Par kai naar aesa hota hai ki hame ek se jyada google accounts ki jaroorat padati hai. Isliye ham ek se jyada google accounts apane phone me add karna chahate hain.
Isake liye in steps ko follow kar sakate hain..

*Sabase pahale setting me jaye
*Fir ACCOUNTS me jaye
*Fir ADD ACCOUNTS ko choose kare.

*Ab naye page par GOOGLE ko select kare.
*Ab ek naya page khulkar aayeha jisame agar aapake pas pahale se hi bana banaya hua google account hai to sedhe email

address dale agar nahi hai to CREATE NEW karke naya account bana sakate hain.

5.Disable Auto Update App Notification

Baar baar hamase koi ek hi baat bole to jahir si baat hai ki hame gussa ayaga hi.
Same Apps ke saath bhi hota hai basr baar hame jab data on karte hain ya fir wifi on kartr hain to App update karne ka notification aata rahata hai. To usase achha hai ki  notification ko off kar dein aur jab bhi hame kage app ko update karna chahiye to sidhe se play store me jakar use update kar lenge
App upadate notificstion ko off karne ke liye ye process hai..

*Sabase pahale PLAYSTORE ko open kare
*Ab isake setting me jaye
*Fir aapako AUTO-UPDATE APPS par click karna hai.


 Ab aapke auto update DISABLE karne ka option aa jayega

6.Android Ka Updated Version Aapke mobile ke liye abhi aaya hai ki nahi kaise check Kare

Agar ham apane mobile ko update kar dete hain to hame ek naya virsion mil jata hai jo pahale wale se kuchh alag hota hai isame hame kuchh naye features mil jate hain jisase mobile ko chalane me aur maza aata hai.
Aaj kai saare android ke version aa gaue hain.Par sabhi mobiles ke liye ek saath nahi aa pate hain isaliye hame khud se hi check karna hota hai ki hamare mobile ke liye naya virsion aaya hai ki nahi. Agar aaya hota hai to use update karke naya virsion me conver kar lete hain.
Isake liye
*Setting me jaye
*Sabase niche jaye aur ABOUT PHONE ko choose kare
*Ab system uodate ko select kare jisame

aapane aao search hona start ho jayega aur kuchh hi samay me oata chal jayga ki updated virsion apake liye hai ya nahi.

7.Change Default App

Jab ham koi link open karte hain to hamase poochha jata hai ki kya aap ise default ke roop me select karna chahenge? aur ham ise select kar dete hain jisase ki jab kabhi bhi ham koi link kholate hain to sidhe usi app se khulata hai jise hamane defaukt ke roop.me.set kiya tha.
Sabako nahi oata hota hai ki kaise ise hataya ja sakata hai. Par aap in steps ko follow kare jisase ise aasani se hata payenge.
*Setting me jaye
*Ab APPS me jaye
*Jis apo ko default se hatana chahate hai use selct kare.
*Ab jo page khulkar aa raha hai usame CLEAR DEFAULT choose kare.

Ab jab bhi aap related files ko kholenge aapase poochha jayega ki kis app se aap use kholana chahate hain.

8.Mobile Homescreen Apps Ko kisi Ek Folder me Add Kare

Jab kai saare apps hamare mobile ke homescreen par ho jate hain to yah utana achha nahi lagata hai aur saath me jitane bhi hamare alag alag use ke apps hain wo sab ek hi me mil jate hain jisase unako open karne ke liye dhoodhana padata hai. Agar ek tarah ke apps ko ek folder me rakh diya to hamara kaam aasan ho jata hai.
Isake liye
*Kisi app par kuchh second tak click kare aur usako kisi anya app me daale . Isase apane aap ek folder ban jayega.
*Yahi process repeat karne folders ko banaya jata hai.

*Folder ka naam change karne ke liye  folder ko open kare aur jaha par folder likha hai usapar click kare phir use delete karke jo naam likhana chahae likh sakate hain.


9.Auto Correction Writing Ko Off Kare

Jab ham kahi par chatting karte hain to poora word nahi likhata kewal kuchh hi letter me likh dete hain.Par jab short me likhane ki koshish karte hain to mobile me.apane aap poora word aa jata hai aur hamare na chahate hue bhi wahi likh jata hai. Kabhi jab ham koi chij likh rahe hote hain aur usame aesa word ka use karte hain jo ki thoda different hai general dictionary se ye usako bhi related english word ke saath match karke usako hi apane aap lihk deta hai.Sahi bataoon to isase mera to dimag bilkul hi kharab ho jata hai main har kimat me is option ko off karna chahata tha aur maine kiya .
Agar aap bhi chahate hain ki aapake words automaticall correct na kiye jaye to ye steps follow kare...
*Setting me jaye 
*TEXT AND INPUTS ko select kare.
*Ab Gbord ko select kare (agar kisi aur keyboard ka use kar rahe hain to use select kare)
*TEXT CORRECTION ko chhose kare

*page ko upar kare phir AUTO CORRECTION ke option ko off kardein.

10.use MOBILE INDIC KEYBOARD.

Hame kai saare bhasaon me typing ksrna hota hai isake kiye google indic keyboard best hai. Ise playstore se dowoad kar sakate hain.
Hamari english me typing speed kaafi achhi hoti hai . Is keyboard se ham sab english me likhenge aur wo hindi me convert hota jayega.


CONCLUSION

Android tips and tricks sabhi android users ko janane chahiye kyonki ye kisi ko bhi kabhi bhi jaroorat pad jati hai.
Android ke saath experiance achha tabhi hoga jab aap usake saare features ko use kar payenge aur use samajh paynge.
Maine sabhi tips and tricks jo ki easy hai aur saath me kaafi useful hain ke baare me bataya. Mujhe ummed hai ye aapka kuchh help kar payega .
koi problem ho to comment karke poochh sakate hain.