Facebook Page Ka Naam Kaise Change Karte Hain- Shoutwithdpk

Facebook ek bahut hi achha plateform hai manoranjan ke liye isake saath ham apana sandesh agar logon tak pahuchana chahate hain to wo bhi isake dvara bahut ho achhe se kiya ja sakata hai.
facebook page title change shoutwithdpk

Ham apane vicharon ko facebook par account banakar,facebook par page banakar,aur facebook par group banakar logon tak pahuchate hain.
*facebook par account kaise banate hain.
*facebook par page kaise banate hain.
*facebook par group kaise banate hain.
Starting me jab bhi koi kaam ham karna start karte hain to usame dheere dheere experience badhata hai aur kuchh changes ki jaroorat mahsoos hoti hai.Yahi agar facebook ki hi baat kar le to jab suru me ham ispar page banate hain to kuchh usame gakatiya hamase ho jaati hain jinhe baad me sudhar karni hoti hai. Inhi galatiyon me se ek galati hamare facebook page ke name ke saath bhi ho sakata hai.
Aaj main aapako batane wala hoon ki apane facebook page ka naam kaise change karte hain.

Facebook Page Ka Naam Kaise Change Karte Hain.

Facebook page ka name change karna bahut aasan hai.
Niche ke sabhi steps ko dhyan se follow kare..

1.Sabase pahale facebook account me login kare.
2.Ab menu Par click kare jaisa ki image me dikhaya gaya hai.


3.Ab naya page khulkar aayega jisame PAGES par click karna hai.
Ab aapake samane wo sabhi pages aa jayenge jinhe aapane banaya hai.Iname se wo page choose kare jisaka naam change karna hai.
4.Jab page open ho jaye to usame MORE par click kare.Jaisa ki image me dikhaya gaya hai aur fir  EDIT SETTING par click kare.

5.Ek naya page open hoga jisame PAGE INFO ko select karna hai.

6.Ab naye page me CHANGE PAGE NAME par click kare.

7.Naye page me ek box open hoga jisame Purane page ke name ko hata kar naya page name dalana hai.
Ab fir continue par click kar dein.

Ab facebook processing start kar dega aur jab poora process ho jayga to Notification me bata dega ki apake page  ka name change ho gaya hai.Generally 2minute ke andar hi page name change karke facebook hame bata deta hai notifcation ke madhyam se.

CONCLUSION

Ham chahe kitani bhi mehnat se koi bhi kaam ka suruaat kar le usame kuchh na kuchh kami rah hi jati hai .Dheedlre dgeere jab experience badhata hai to usame changes karte hain.Facebook page ka naam bhi agar galati se kuchh aur likh loya ho ya fir kisi karanwas ise change karne ki jaroorat padi ho to ab aap aasani se kar payenge.
Is post se related kisi bhi question ke liye comment me bataye.
Thankyou:)