Sent Whatsapp Message Ko Delete Kaise Kare

Anjane me galati se hamase kabhi koi message whatsapp par swnd ho jata hai jisake liye hame bahut hi dukh hota hai.Ab se kuchh samay pahale yah possible nahi tha ki jo message ham ek baar whatsapp par send karde use doosari or ke vyakti whatsapp se remove kiya ja sake.

Par whatsapp ko laga ki aesa nahi hona chahiye aur ye galati to kisi se bhi ho sakati hai isliye whatsapp ne App me changes kiya aur is chij ko possible bana diya.
Ab hamase koi message galati se send ho jati hai to use remove kiya ja sakata hai.

Whatsapp Par Sent Message ko Delete Kaise Karte Hai

Bajut hi simple process hai niche ke process ko follow kare..
*Jab kisi app me koi change kiya jata hai to usake latest virsion ko use karne ke liye matlab us change ka use karne ke liye use update karna hota hai.
Whatsapp me bhi yah change jald hi kiya gaya hai so apako ise update karna hoga.
Simply aap playstore par jaye search box me Whatsapp likhen aur aapke samane update ka option aa jayega.Ise update kar le.
*Jo message aap delete karna chahte hai uspar kuchh seconds ke liye click kre jisase Trash box(delete) ka option aayega us box par click kare.
*Ab aapake samane tin options aayenge
1.DELETE FOR ME
2. CANCEL
3.DELETE FOR EVERYONE

ab agar aap chahate hain ki wo message kewal aapake inbox se delete ho to DELETE FOR ME ko choose kare.
agar aap chahte hain ki jise aapane ye message send kiya hai usake inbox se bhi delete ho jaye to DELETE FOR EVERYONE select kare.

Ab aapake inbox se wo message 
delete ho jayega aur saath me jise aap send kiye honge usake inbox se bhi delete ho jayega.Aur jaisa ki image me dikhaya gaya hai waisa message us original message ke jagah par aa jayega.


NOTE: Yah option kewal 7 minute ke liye hi aayega usake baad aap kewal apane inbox se hi message ko delte kar payenge.

Conclusion

Jaise jaise insaan ki jaroorat badhati jati hai waise waise raste nikalate jaate hain. Aaj whatsapp ne se bhi siddh hota hai.Aapane pahale akhbaro me padha bhi hoga aur news bhi suna hoga ki Whatsapp ki wajah se rishte toot gaye.Wo rishte inhi gakati se kiye gaye message ke wajah se toote the.
Par koi nahi ab hamare pas thoda bahut to control ho hi gaya.

Kya aapako bhi is option ka pahale whatsapp me na hone se koi pareshani hui?
Please comment.

Comments