Mobile Phone Ke Volume Button Se Kuchh Alag Kare

Hi friends mobile phone to lagbhag sabake pas hai aur kai tarah ke apps bhi use karte hain.
mobile keys

Aaj ham ek special app ke baare me discuss karne wale hain jisase aap apane phone ko kuchh alag dhang se chalate hain.
Yaha ham discuss karne wale hain ki kaise ham apane volume key se kewal aawaj ghatane badhane ke alawa kuchh aur bhi kar sakate hain.
Agar mobile me  flash light ko on karna ho to ek specific jagah par jakar isako on karna hota hai aise hi agar wifi on karna ho to usake liye bhi ek specific jagah par mobile ke jakar ise on karna hota hai.
Mobile me 5 button lagabhag sabme hote hain..
1.Home key.
2.Back key
3.Recent activity key.
4.Volume Uo and Down Key
5.Power on/off key.

Aur generally in sab keys se kya hota hai.
1.home key se ham mobile ke homescreen par pahuch jate hain
2.Back key se kisi app ko open kare rahate hain to usase ek step pichhe aa jate hain.
3.Recent activity key - jo bhi app ham kholkar rakhe rahate hain aur sidhe home key press kar dete hain to wah poori tarah se band nahi hota hai. Is key se isako dekha jata hai aur band kiya jata hai.
4.Volume key se volume ko kam ya jyada karte hain.
5.Power on/off key se mobile ko switch off ya fir switch in karte hain.

Ye to ho gai ki generally aesa hota hai.
Par main yaha par aapase bataunga ki isake alawa inase kuchh aur bhi kiya ja sakata hai. To phir chaliye janate hain..

Mobile ke keys se Kuchh Alag Kaise Karte Hain.

In sabhi steps ko follow kare kahi koi problem ho to comment me bataye.

1.Sabase Pahale BUTTON MAPPER app ko playstore se download kare
2. Download ho jane ke baad ise open kare.
3.Ab jo kuchh bhi aapako dikhaee de raha hai use skip karte jaye.Aur last me ek page aesa aayega jaisa ki image me dikhaya gaya hai.

Yah apake mobile se permission lene ke liye hota hai taki wah kuchh change kar sake.
4.isako permission dene ke liye ispar click kare.
5.Ab aap setting me pahuch jate hain.Yaha se isako permission dena hai isake liye isake naam click kare aur on kar de.
6.Ab is app me wapas aaye
ab isake dvara aap pane phone ke key ko apane anusar control kar sakate hain.
mana ki aap volume key me kuchh change karna chahate hain.
*VOLUME BUTTON ko choose kare.
*Ab aapake samane aayega ki aap isase kya karna chahate hain.
Jo kuchh bhi aap karna chahate hain use choose kar le.
Bas ho gaya ab aap apane anusar changes kar payenge.

Conclusion

Yaha aap jaan chuke hain ki kaise voulme key ko apane anusar manage kar sakate hain.
To fir ye post kaisa laga. comment me apane vichar hame bata sakate hain.