Facebook Account Ko Hackers Se Bachane Ke Liye Top 5 Tips

Facebook ka use ham apane mobile, laptop, kisi friend ke laptop ya mobile ya fir kisi paid computer me karte hain.Par sabase jyada dhyan dene wali baat yah hoti hai ki jab ham facebook ka use kar le to use
facebook security tips

LOGOUT kar de.Agar kahi galati se login hi rah jate hain to hamare account par kisi aur ka kabja ho jata hai.Ab baat yahi aati hai ki kaise ham agar apane account ko kisi aur ke laptop ya mobile me open kiye hain but use logout nahi kiye hain to use kaose kar sakate hain.Saath me hamare account ko aur jyada kaise secure banaye jisase ki yah hack na hone paye aur galat hathon me jane se bach jaye.
To fir ham poori detail me baat karengr ki kaise ham apane account ko itana secure kar de ki koi ji jaan laga de fir bhi hamare account ko hack na kar paye.
Chaliye bistar se janate hain.

Facebook Account Ko Secure Karne Ke Top 10 Tips

1 Ek Strong Password Ka Use Kare(Use Strong Password)

Yah point sabase jyada jaroori hota hai.Agar aapake account ko hack karna chahata hai to sabase pahale wah koshish karta hai ki aapake password ko dalata hai login karne ke liye.
Wah aapake
*Mobile number
*DOB
*Apaka naam
*Relatives Ka naam
Aese hi simple password ko pahale dalkar check karta hai.

To sabase jyada jaroori hai ki aap jab bhi password ka use kare to ek strong password ka use kare jisase ki hacker aapake password ko imagine na kat sake.
Ek strong password me..
*Small letters
*Capital letters
*numbers
*symboles
Ka use kiya jata hai jaise ki @hereisDpK4598.SWD.
Apane password ko change karne ke liye in steps ko follow kare..
1.Facebook account me login kare.
2.MENU me jaye

3.SECURITY AND LOGIN me jaye


4.CHANGE PASSWORD me jaye
5.Ab 3 box open honge jiname aapako poorana password aur jo naya password aapa banana chahate hain use daale .Aur fir SAVE CHANGES par click karke save kar de.


2 Apana Mobile Number Update Kare

Agar Aapaka mobile kahi kho jata jisane wahibsim card hai jisase aapane facebook account banaya hai ya fir kisi karanwas apaka mobile no. Aapake paas nahi hai to aapake loye sabase achha yahi hoga ki aap us number ko change karke wo number add kare jise aap us samay use kar rahe hain.
Kyonki kisi karanwas jab ham apane facebook account ka password bhool jate hain to facebook dvara hamare registered number par message jata hai jise fir confirm karke apane password ko reset kar pate hain.
Mobile number ko update karne ke liye..
*Sabase pahale menu me jaye
*ACCOUNT SETTING me jaye
*GENERAL me jaye

*Ab aapake samane PHONE ka option aayega usame jaye.
*Ab aapake mobile number ke niche do options aaynge 
1.REMOVE MOBILE NUMBER
2.ADD MOBILE NUMBER
agar aapaka number kahi kho gaya hai to use remove karle fir ek naya number add karle jo aapake pas ho.
Ya fir agar aap chahate hai ki pahale wala mobile number bhi rahe aur ek naya number bhi add kar le to  second option ko choose kare.

*Ab box me wo number daale jise add karna chahate hain.
*Number dalane ke baad CONFIRM kar dein.
*Ab Apake mobile par ek code jayega jise aapko naye box me dalana hoga fir confirm kar de.
Bas naya mobile aapake account se add ho jayega.


3 Keep Me logged In Ko untick Kare

Jab aap faceboom me login karte hain to dekhate honge usake niche hi likha rahata ha keep me logged in aur isake samane ek box bata rahata hai ise untick kar de.
Agar tick karenge to account se hatane ke baad bhi us browser me login rahenge.
Jab isako untick kar diya jata hai to jab bhi aap facebook me login karna chahenge apako username aur password dalana hoga.Yah account ke security ke liye kaafi achha hai.


4 Supecious Link Par Click Na Kare

Suspecious link ka matlab un links se hai jo hame thoda ajeeb lage ya fir aesa lage isase hamare account ko hack kiya ja sakata hai.
Facebook ek social media hai isako user ki sankhya bahut badi hai. Isame bahut saare aese log hain jo bahut achhe hain aur kai saare aese bhi hain jo ki bahut hi jyada bure hain. Aese log hamesha nai nai tarike khojate rahate hain logon ko pareshan karne ke liye.Aur accounts ko hack karne ke liye links send karte rahate hain jinpar click karne par wo hamare details jaan jate hain jo ki unake liye kaafi labhadayak hai.
Facebok ka use karne walon ko kuchh baate janani chahiye jo is tarah se hain.
1.Falatu ke links par click na kare.
Jaisa ki maine abhi uoar bataya hai ki kai saare link hamare account par aate rahate hain jo hame lubhane ki koshish karte hain. Ham unpar jab click karte hain to kai saare important information hackers ko mil jati hai. To aese links par click na kare.
2.Kabhi bhi Username Aur Password Share na Kare.
Kai saare aese notification aate hain jiname bola jata hai ki userbame aur password dalkar login kare aur pise kamaye. Aur jab han aesa karte hain to hamara username aur password unako pata chal jata hai.
3.Facebok Ke hi Site Par Login Kare.
Jab bhi kisi browser me login karna ho to sabase pahale yah dekh le ki jo url box me address likha hai wo facebook ka hi hai na.
Agar aesa nahi hai to usame login na kare.
Facebook ka address www.facebook.com hai.Login karte samay adreess me facebook ke spelling ko achhe se check kar lein.

5.Browser Se Account Ko Logout Kare.

Facebook use karne ke baad use logout karna bilkul na bhule


CONCLUSION

Social media ek bahut hi popular jagah hai jaha par ham manoranjan karte hai logon ke samane apane baton ko rakhate hain. Par isaki security hamari jimmedari hai agar ham ise secure nahi rakh payenge to koi isaka galat use kar lega aur isaka result achha nahi hoga. So jitane bhi main security tips aapko bataye hain unako follow kare.
Comment me apane problems batayein.
Thankyou:)







Comments